Skip to main content

Clutter cleaner using Python

Is project mai maine python ki madad se clutter cleaner banaya hai. jaisa ki aap log jaante hai ki ham log apni file ko ek folder mai ikaththe karte chalte hai. lekin is software ki madad se aapko sirf apko jis folder mai aapka clutter hai usme daalna hai aur isko run kar ena hai jisse ye hoga ki jitne bhi mp3 files hai aur images files hai and jitni bhi video files hai bo sab separate hoke alag se ek folder mai chali jayengi. isme maine python ki os library ka use kiya hai.


Modules use in this Project

    1. OS Module


code meri github ki profile par hai.

Comments

Popular posts from this blog

Virtual environment in python

python ka virtual enviornment banane ke liye sabse phle jis folder mai aapko apna virtual enviornment banana hai bo folder ko aap agar windows mai hai to cmd yaa phir powershell mai khol lenge phir uske baad aap ko i=usme ek module install karna hai pip ki madad se jiska naam hai virtualenv yaa phir aap seedhe is command ko bhi run kar sakte hai jiska naam hai pip install virtualenv . Phir iske baad aapko apne cmd yaa powershell window par likhna hoga virtualenv foldername . idhar filename mai aapko apne folder ka naam daalna hai jo ki aapko create karna chaahte hai. phir ye karne ke baad aapko simply us virtual enviornment ko activate karna hoga usko activate karne ke liye aap yaa to seedhe hi apne us folder ke andar jaaker jo ki aapne create kiya hai uske andar jaakar aapko ek scripts naam ka folder dekhne ko milega aapko uske andar jaakar ke aapko apne virtual enviornment ko activate kar lena hai. phir uske baad aapka virtual enviornment ban ke taiyaar hai. Error - agar aapko acti

Complete Database management in Python

is project mai maine python ki madad se ek database management system banaya hai. isme maine python ki gui and some basic mysql queries ka use kiya hai and mai jaanta hu ki ye abhi pura nahi hai lekin ab mai is par bahut kaam kar chuka hu isiliye maine socha ki ab jitna bana hai utna hi kafi hai isiliye mai isko ab post kar raha hu. Basic Modules of Python that are used in this project are:     1. tkinter     2. pymysql     3. os     4. subprocess     5. pillow maine ye saare module  pip intsall  karke install kare hai.  iska pura source code bhi available hai aur mai isme abhi  console  aur ek  log  aur jodna chahta tha lekin time kam hone ke karad mai isme abhi bo nahi jod raha hu. chalo jo bhi ho ab mai ise publish kar raha hu aur ye meri github ki profile par bhi available hai