Skip to main content

Virtual environment in python

python ka virtual enviornment banane ke liye sabse phle jis folder mai aapko apna virtual enviornment banana hai bo folder ko aap agar windows mai hai to cmd yaa phir powershell mai khol lenge phir uske baad aap ko i=usme ek module install karna hai pip ki madad se jiska naam hai virtualenv yaa phir aap seedhe is command ko bhi run kar sakte hai jiska naam hai pip install virtualenv.
Phir iske baad aapko apne cmd yaa powershell window par likhna hoga virtualenv foldername. idhar filename mai aapko apne folder ka naam daalna hai jo ki aapko create karna chaahte hai.
phir ye karne ke baad aapko simply us virtual enviornment ko activate karna hoga usko activate karne ke liye aap yaa to seedhe hi apne us folder ke andar jaaker jo ki aapne create kiya hai uske andar jaakar aapko ek scripts naam ka folder dekhne ko milega aapko uske andar jaakar ke aapko apne virtual enviornment ko activate kar lena hai. phir uske baad aapka virtual enviornment ban ke taiyaar hai.



Error - agar aapko activate kart samay ki error milti hai to aap simply usme set-executionpolicy remotesigned phir uske baad aapko simply a yaa phir y apni jarurat ke hisab se press kar dena hai.


export - agar aap apna project kisi ko dete hai ye virtual enviornment ke andar jo project bana hai bo to aapko ye bhi jaanna bahut jaruri hai ki virtual enviornment mai jo aapne packages or jo modules aapne install kiye hai bo saamne bale ke mai honge ki nahi isilye aapko agar ye modules ssamne bale ko batane hai ki usme konsa version ka konsa module use kiya jai us project ko banane mai to aapko simply type karna hoga pip freeze > requirements.txt. aur agar aapko ye ssare packages ko install karna hai to simple type karna hoga pip install -r  .\requirements.txt bas itna likhne se aapka project ke saari requirements ssamne baale ke computer mai install ho jaayenge.


aur ek baar aapka agar kaam pura ho jaata hai to aap apne virtual enviornment ko deactivate bhi karna hai aur usko deactivate karna baise to jaruri hai yaa nahi ye to mujhe bhi nahi pata lekin aia karna ek achi practice hai. aur isko deactivate karna bhi bahut simple hai aapko bas apne cmd yaa powershell mai type karna hai deactivate aur aapka virtual enviornment deactivate ho jaayega.


All commands that are used in creating virtual enviornment


(funfacts:
    1. No global packages work in virtual enviornment.
    2. agar aapko error milta hai activate karte samay to aap us folder ko cmd or Powershell mai se kisi ko bhi admin permission se kholenge to bo error aapko dekhne ko nahi milega
    3. agar aap chahte hai ki aapke virtual enviornment mai bo ssare packages aaye jo ki global hai matlab ki jo packages aapke bahar bale matlab ki main bale python mai bhi hai to aapko simply is command(virtualenv foldername) ko is command(virtualenv --system-site-packages foldername) se replace karna hoga)


1. pip install virtualenv
2. virtualenv "foldername"
3. .\foldername\scripts\activate
    if error comes :
                               Type following commands:
                        set-executionpolicy remotesigned
4. pip freeze > requirements.txt
5. pip install -r .\requirements.txt
6. deactivate (for deactivating the virtual enviornment)
7. exit

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Clutter cleaner using Python

Is project mai maine python ki madad se   clutter cleaner banaya hai. jaisa ki aap log jaante hai ki ham log apni file ko ek folder mai ikaththe karte chalte hai. lekin is software ki madad se aapko sirf apko jis folder mai aapka clutter hai usme daalna hai aur isko run kar ena hai jisse ye hoga ki jitne bhi mp3 files hai aur images files hai and jitni bhi video files hai bo sab separate hoke alag se ek folder mai chali jayengi. isme maine python ki os library ka use kiya hai. Modules use in this Project     1. OS Module code meri github ki profile par hai. github profile link :   https://github.com/yash112-lang/Python-Clutter-Cleaner/blob/master/Files_cleaner.py

Complete Database management in Python

is project mai maine python ki madad se ek database management system banaya hai. isme maine python ki gui and some basic mysql queries ka use kiya hai and mai jaanta hu ki ye abhi pura nahi hai lekin ab mai is par bahut kaam kar chuka hu isiliye maine socha ki ab jitna bana hai utna hi kafi hai isiliye mai isko ab post kar raha hu. Basic Modules of Python that are used in this project are:     1. tkinter     2. pymysql     3. os     4. subprocess     5. pillow maine ye saare module  pip intsall  karke install kare hai.  iska pura source code bhi available hai aur mai isme abhi  console  aur ek  log  aur jodna chahta tha lekin time kam hone ke karad mai isme abhi bo nahi jod raha hu. chalo jo bhi ho ab mai ise publish kar raha hu aur ye meri github ki profile par bhi available hai